Maa Lakshmi Aarti
**********************************************************************************
Jai lakshmi maataa, maiyaa jai lakshmi maataa
tumko nishadin dhyaavata, hara vishnu vidhaataa
brahmaani, rudraani, kamlaa, tu hi hai jaga maataa
surya chandramaa dhyaavata, naarada rishi gaataa
durgaa rupaa nirantara, sukha sampati daataa
jo koi tumko dhyaavata, riddhi siddhi dhana paataa
tu hi hai paatala basanti, tu hi shubha daataa
karma prabhaava prakaashaka, jaganidhi ke traataa
jis ghara mein tum rahati, saba sadaguna aataa
kara sake koii kara le, mana nahin ghabaraataa
tuma bina yagya na hove, vastra na koii paataa
khaana paana ka vaibhava, sab tumse hi aataa
shubha guna mandira sundara, kshirodadhi jaataa
ratana chaturdasha tuma hi, koii nahin paataa
aartii lakshmii ji ki, jo koii nar gaataa
ura aananda umanga ati, paap utar jaataa
----------------------------------------------------------------------------------------
Ganesha Aarti
**********************************************************************************
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh deva
Mata jaki Parvati, Pita Mahadeva.
Ek dant dayavant, char bhuja dhari
Mathe sindur sohai, muse ki savari, Jai
Ganesh...
Andhan ko ankh det, kodhin ko kaya
Banjhan ko putra det, nirdhan ko maya, Jai
Ganesh....
Pan chadhe, phul chadhe, aur chadhe meva
Ladduan ka bhog lage, saht kare seva, ,Jai
Ganesh....
Jai Ganesh, Jai Ganesh, Jai Ganesh deva,
Mata jaki Parvata, Pita Mahadeva
----------------------------------------------------------------------------------------
Aarti
**********************************************************************************
Om Jaye Jagdish Hare, Swami Jaye Jagdish Hare
Bhagt Jano Ke Sankat, Khshan Mein Dur Kare ...
Jo Dhaywe Phal Pave, Dukh Vinshe Man Ka
Sukh Sampati Ghar Aave, Kasht Mite Tan Ka ...
Maat-Pita Tum Mere, Sharan Gahun Kiskee
Tum Bin Aur Na Duja, Aas Karun Jiskee ...
Tum Puran Parmatma, Tum Antaryami
Par-Brahm Parmeshwar, Tum Sabke Swami ...
Tum Karuna Ke Saagar, Tum Palankarta
Mein Moorakh Khal Kami, Mein Sewak Tum Swami,
Kripa Karo Bharta ...
Tum Ho Ek Agochar, Sabke Pran Pati
Kis Vidhi Milun Dayamay, Tumko Mein Kumti ...
Deenbandhu Dukh Harta, Thakur Tum Mere
Apne Hath Badao, Apni Sharan Lagao,
Dwar Para Tere ...
Vishay Vikaar Mitao, Paap Haro Deva
Shradha Bhakti Barao, Santan Ki Sewa ...
Tan Man Dhan, Sab Hai Tera
Tera Tujhko Arpan, Kya Lage Mera ...
----------------------------------------------------------------------------------------
|